Sunny Deol’s Gadar 2 Best Dialogues

Best Dialogues of Sunny Deol from Gadar 2

Category-

Gadar 2, a 2023 Indian Hindi-language period action drama directed and produced by Anil Sharma, and written by Shaktimaan Talwar, is a sequel to the 2001 film “Gadar: Ek Prem Katha.” Sunny Deol, Ameesha Patel, and Utkarsh Sharma reprise their roles from the original film. Set 17 years later, Gadar 2 continues the story, focusing on Tara Singh’s quest to locate his incarcerated son amidst the Indo-Pakistani War of 1971. Here we have covered the best dialogues of Sunny Deol and the other actors from Gadar 2 film.

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Sunny Deol & Ameesha Patel’s Best Gadar 2 Dialogues

Apke sasural se kuch aaya hai waise to gola barood hi aate hain, iss bar kuch tohfe aaye hain… Rawat

Waqt ke sath sath humare liye apki care badhti ja rahi hai.. Sakeena

Sahab ji tussi tara singh nu pehchande nahi, dushmana nu pucho tara singh kon hai… Tara Singh

Kitna intezar karwaya tune, ab tera intezar puri dunia karegi… Hamid

Iss bar jung hui na to pura phod denge, hindustan ki zameen ko laal aur jhande ko hara kar denge.. Others

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Agar aisi jung hui na janab, toh ubaal humari rago ka bhi dekhna, Dushman ko khun me dubo dubo kar marenge… Jittey

ISI kutte se bhi tez hai sunghne mein.. Gullu

Utkarsh Sharma & Sunny Deol’s Best Dialogues from Gadar 2

Apni maa ki ankhon me jab ansu dekhta hoon na, to jee karta hai sansar ko aag laga du, Sare darr bhag jate hain… Jittey

Main Tara Singh da puttar hoon, main kisi bhi halaat mai ek bete hone ka farz nibha lunga… Jittey

Miya agar hasrate aukat se zyada badh jaye na, to tabahi ke liye dushmano ki zarurat nahi padti… Tara Singh

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Hamid Igbal Jiska baap zinda ho uss bete ko kya fikar… Jittey

Namaz padhne ja rahe hai na aap, to allah se apne liye dua maang lena, ki mera babbe yahan na aaye, kyuki agar wo yahan aa gaya na, aur usne meri ye halat dekh li, to tere itne chithde karega, ithe chithde karega itne chithde karega ki pura pakistan nahi gin payega…. Jittey

Ek din ghazwa e hind hoga, ek ek hindu musalmaan banega, aur ye hindu humari betiyon ko bargalayenge, unki asmat lutenge, unhe hindni banayenge…? Hamid Iqbal

Tune jitni quran padhi hai na, usse jada meri maa ne mujhe sunai hai samjhayi hai… Jittey

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Tara Singh bade mauke par aaya hai tu, baap ke samne bete ka Qatal.. Hamid Iqbal

Bohot zulm kar liye tumne hindustan me musalman bhaiyon par, ab hum unhe azadi dilayenge.. Hamid Iqbal

Top Gadar 2 Dialogues of Sunny Deol

Kisse azadi dilaoge tum, hindustan musalmano ka, christiano ka hai, sikho ka hinduo ka hai, hindustanio ka hai, aur in sabne milkar azadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai… Tara Singh

Agar yahan ke logo ko dobara mauka mile na hindustan basne ka, to adhe se zyada pakistan khali ho jayega, tumhara ye siyasi pan tumhe bhikhari bana dega, katora lekar ghumoge, bhikh bhi nahi milegi… Tara Singh

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Ud gaye na chithde, abhi to pappe ne hath bhi nahi lagaya… Jittey

damad hai wo Pakistan ka, usse nariyal do, teeka lagao warna iss bar wo dahej me lahore le jayega… others Janab sadar, maine bohot humiliation saha hai partition ke dauran, har bar mazboot hokar nikla hoon, is bar b niklunga… Hamid Iqbal

Achha ek kaam karna, jab tu hindustan wapas jayega, to apne jaise kisi mazloom, pakistani ki madad karna, dekhna kitna sukoon milega… others

Main nahi chahta koi anhoni ho meri mauski ke sath.. Mera nanihal hai na, pakistan, aur yahan ke alawa mujhe maasi maa kahan mil sakti hai… Jittey

Sunny Deol's Gadar 2 Best Dialogues

Par mere bolne se kya hoga, agar maine murdabad ka nara bhi laga dia na, to mere mulk ki shaan kam nahi hogi, humara tiranga asmaan me lehra raha hai lehrata rahega, agar har hindustani ne zindabad ka nara lagaya na to uski awaz ki gunj tum sabko faad degi…. Hindustan Zindabad Tara Singh

Agar apne Rasool ke raste par chalta toh Gazwa e hind nhi Jhazba e hindi ki baat karta, aur dunia ek jannat hoti… Tara Singh

-Advertisement

Related articles